Mein yahin miloonga
Mera ghar yaad rakhna
Badlengi manzilein
Tum safar yaad rakhna
Tey karke kuch faasley
Ek roz yahin par milne aana
Liye nazare apne raaste ke
Meri sunana kuch apni sunana
Nayi shaakh, naye patte,
Har phool naya sa hoga
Naye chehre, naye mukhautey,
Haan kafi kuch badal gaya hoga
Nayi khushiyaan hongi
To naye gam bhi ayengey
Purana se dard kai
Fir se kheench layengey
Kabhi gar mausam dhundhlaya
Khud pe vishwas dagmagaya
Ro lena, par ghabrana mat
Baant lena dard, kuch chipana mat
Sandook se wo choodiyon ka
Rangeen dibba nikal lena,
Shikwon ki dhool jhatak kar
Hasi ki baaliyaan daal lena
Naye rishte hon ya naye raaste
Dard purane se hi hongey huzoor
Par un meethi yaadon ki pudiya mein,
Apni dosti ki dawa bhi milegi zaroor
Fir…
Mein to yahin miloonga
Mera ghar yaad rakhna!
Rajat Sharma