Arey ruk ja re bande
Ye Kudrat has padegi…
Hum sab school aur college Life tak kitna samay lagatey
hain ye sochne me ke zindagi mein kya karna hai
Aur bachpan se jawani tak kai sapne badal jate hain,
hamari badalti chahat aur khud ki pehchan ke saath
Par fir jaise hi karya kshetra me utarte hain tab se bas behte chale jate hain,
hum kya dhoondh rahe they wahi bhool jate hain
Parivaar aur kaam dhandhe ke badhne ke baad to ye sawal kahin Kho hi jata hai.
Aur kahin na kahin apne circle ke logon se aagey aur zyada – bas yahi reh jati hai jivan ki hod…
Aise me jivan ke is safar me naisargik unmukt khushi lupt
ho sakti hai – agar apke saath ye ho raha ho to ek baar vichar zaroor karein
Aakhir hum kya dhoondh rahe hain
Aur wo kaise milega
Hum is sawal ke saath apni zindagi mein jhaankna chahte
hain aur dobara apne mainey aur raste pe vichar karna chahte hain
Kya aap hamare saath apni zindagi ko tatolna chahengey?
Har poornima ko ek naye chand ke saath hogi raah-e-zindagi ki baat